Facebook icon Shayyar Majid Deobandi
 
1 2 3 4 5
   
Allah mere rizk ki barkat na chali jae
Do roz se ghar men koi mahma nahin he
Ghar se chalne ka irada hi kiya tha men ne
Maan ke honton pe duaon ka safar jari he
   
Pehle ye te karo ke wafadar kon he
Phir waqt khud bataega ghaddar kon he
Kashtian ham ne jala di hen bharose pe tere
Ab yahan se nahin ham lot ke jane wale
   
Ye haveli mujhe hijrat nahin karne deti
Is men ab chhat he na diwaar na dar baqi he
Har lafz ko seene men basa lo to bane baat
Taqon men sajane ko yeh qur'aan nahin he
   
Ab ke phoolon ka rang pheeka he
Fasle gul ko mera lahoo dede
Ham ne to banae hen samandar men bhi raste
Yoon ham ko mitana koi aasaan nahin he
   
Aao ke parh len ghor se taareekhe gulsitan
Yeh dekhna he sahibe kirdar kon he
Wo jis ko buzurgon ki riwayat na rahe yaad
Us shakhs ki logo koi pehchan nahin he
   
Zinda rehna he to phir khud ko mitana seekho
Ghut ke marte hen sada jaan bachane wale
Shohrat ko wo khud apni kamai na samajh le
Mashhoor he jab tak ke wo maghroor nahin he
   
Ham ko un walion ki nisbat hasil he
Dasht ko jo gulzar banane wale hen
Ek dar ham se kya chhut gaya
Mustaqil dar ba dar ho gae
   
Tum le jao neza, khanjar aur talwar
Ham maqtal men sar le jane wale hen
Mujh se poochho us ka fezane karam
Men to qatra tha samandar ban gaya
   
Do char ummeedon ke diye ab bhi hen roshan
Maazi ki haveli abhi veeran nahin he
Jab teri yaad se ghafil kabhi ho jaoonga
Dekh lena men zameen orh ke so jaoonga
   
Wo jis ko buzurgon ki riwayat na rahe yaad
Us shakhs ki logo koi pehchan nahin he
Jahan men ek misal thi hamare ittehad ki
Alag alag hue to ham zara se ho ke reh gae
   
Men kahan aur matae dard kahan
Yeh teri den jis ko too dede
Charhte sooraj ko he salam yahan
Warna kis ka raha qayam yahan
   
Umr bhar doston ka naam na loon
Gar qarine ka ek udoo dede
Pheli he fazaon men yeh kis zahar ki khushboo
Jis phool ko chhoota hoon wohi khar lage he
   
Tera firaq, teri justujoo, teri hasrat
Ye zakhm zakhm tabassum lahoo lahoo aankhen
Ghar se chalne ka irada hi kiya tha men ne
Maan ke honton pe duaon ka safar jari he
   
Jab se woh hamsafar ho gae
Raaste mukhtasar ho gae
Yeh kesi andheron ki siyasat he ke har soo
Jalte hen charagh aur kahin noor nahin he