Facebook icon Shayyar Majid Deobandi
 
1 2 3 4 5
   
Dil ki sab hasraten nikalenge
Aap ke khoon men naha lenge
Aaj ke rehnuma are touba
Yeh watan ko bhi bech daalenge
Khoon jis ne diya he gulshan ko
Aap us ko sazaen dete hen
Ham to wo hen jo galiyan khaa kar
Dushmanon ko duaen dete hen
   
Khaar hote hen raahe ulfat men
Reshmee masnaden naheen hoteen
Chaahne wale ruk naheen sakte
Pyar men sarhaden naheen hoteen
Saaree diniya pe hukmurani he
Go faqeeron ke sar pe taaj naheen
Sab siyasat ka khel he warna
Jang insaan ka mizaaj naheen
   
Ham ko aslaaf ne jo bakhsha  he
Wohi azm-o-amal talaash karen
Bheek gheron se maangne wale
Khud masail ka hal talash karen
Jab bhi honton pe iltejaa aayee
Kuchch ziyada khalish barhaa aayee
Gardishon men sabhi the door magar
Kaam aayee to bas dua aayee
   
He bazaahir hamari hamdardi
Aur hamen bantne ki baaree he
Dosto is nai siyaasat men
Ab jaren kaatne ki baari he
Wo parinda jo ab uraan men he
Kis qadar sakht imtihaan men he
Haadse us ka kya bigarenge
Jo tere hifz men, amaan men he