Facebook icon Shayyar Majid Deobandi
 
1 2 3 4 5
   
Laakh honton ko tabassum ke ujale deeje
Kaifiyat dil ki har ek chehra bata deta he
Un ke dil pur khuloos hote hen
Jin ke oonche makan naheen hote
   
Phool banna kalee ka yaad aaya
Jab hansey wo takallufat ke baad
atre qatre se bana karta ha darya yaaro
Aur darya naheen pehchanta qatra kya he
   
Ham ne gheron pe to ilzaam laga rakkhe hen
Apne daaman ke magar daagh chhupa rakkhe hen
Kisi sile ki jo chaah hoti to men bhi shaayad
Har ek masnad nasheen ko aali janab likhta
   
Us ki nisbat ka taaj rakhte hen
Har maraz ka ilaaj rakhte hen
Khof kya ho hamen yazeedon se
Ham husaini mizaj rakhte hen
Kya gunahon se bach sakenge bhala
Qasmen jo subh-o-shaam khaate hen
Un ke chehron pe noor na mumkin
Wo jo rizk-e-haraam khate hen
   
Hosla jin men kuchch naheen hota
Wo balandi pe charh naheen sakte
Ham shareeat se hat ke aiy majid
Kuchch bhi ho chaahe parh naheen sakte
Haq hamara hamen mile na mile
Phir bhi ham hen ke zid naheen karte
Sab ko ilzaam dete hen lekin
Khud ko ham muttahid naheen karte
   
Thaam rakha he zabt ka daaman
Gham bhale hi mazeed ho jayen
Fatha eemaan ka muqaddar he
Laakh paida yazeed ho jayen
Jab kabhi haq pe aanch aatee he
Ham naya imtehaan dete hen
Khud mitate hen apni hasti ko
Ham mujahid hen jaan dete hen
   
Doosron ko na gham diya karna
Pyar dushman se bhi kiya karna
Gher le jab tumhen pareshani
Aayatal kursi parh liya karna
Ek taraf haq he ek taraf dushman
Dekhiye kon rukh badalta he
Jo mujahid he us ka aiy majid
Aandhiyon men charagh jalta he
   

Jhoote insaan se sada bachna
Yaane shaitan se sada bachna
Bech deta he jo zameer apna
Us musalmaan se sada bachna

Us ki chashm-e-karam jo ho jaye
Mere dushman mufeed ban jayen
Aiy khuda meri qom ke bachche
Khalid ibn-e-waleed ban jayen
   
Aise logon men ham naheen majid
Din ko bhi jo andheri raat kahen
Ham to fankaar un ko kehte hen
Daar par bhi jo haq ki bat kahen
Aaj ka dor haadson ka he
Har qadam dekh bhaal kar rakhiye
Thais lagne se toot jata  he
Dil he nazuk sambhal kar rakhiye
   
Zindagee ka yehi fasana he
Ashk pee pee ke muskurana he
Peer-o-murshid ho ya ke shaah-o-faqeer
Jo bhi aaya he us ko jaana he
Dil to lamhon men toot jate hen
Aur sadyon men zakhm bharta he
Koi zinda rahe ke mar jaaye
Waqt kab intezaar karta he
   
Pehle andar se toot jaata he
Tab koi shakhs muskurate he
Rizk insaan chheenna chaahe
Aur khuda raaste banaata he
Jis jagah rahmaton ki bnaarish thee
Us jagah aag ki hawayen hen
Dil yeh kehta he mujh se aiy majid
Sab yeh aamaal ki sazaayen hen
   
Ghair sanjeedgi ki khaatir ham
Apna saara waqaar kho bethe
Maslakon li laraai men ham log
Apne mola se door ho bethe
Jis ne ham ko yeh zindagee dee he
Us se ham lou naheen lagaatge hen
Bhool baithe hen ham khuda ka kalaam
Zalzale is liye bhi aate hen
   
Jis ke sadqe men yeh hayat milee
Us ke ham sachche ummatee ban jayen
Deobandi  barailvi se qabl
Kaash ham sab mohammadi ban jayen
Ab zameen ka badan na chhorenge
Yaani har giz kafan na chhorenge
Apna eeman he yehee majid
Mar ke bhi ham watan na chhorenge
   
Khoon men haath hon range jin ke
Un ko har giz dua naheem miltee
Mere gulshan ki reet bhee he ajab
Qaatilon ko sazaa naheen miltee
Is qadar bad hawas hen kuchh log
Chaak daaman kaheen na kar daalen
Tanz karte hen jo zamaane par
Apne aibon pe bhee nazar daalen