Facebook icon Shayyar Majid Deobandi
 
1 2 3 4 5
   
Diwanon ki duniya he paththar ka zamana he
Be fikr na betho tum sheeshe ke makanon men
Ghar se chalne ka irada hi kiya tha men ne
Maan ke honton pe duaon ka safar jari he
   
Jo mahnaton mashaqqaton se hal na ho sake kabhi
Wo sare kaam maan ki ek dua se ho ke rah gae
Hamin nahin hen teri khum nigahiyon ke shikar
Janabe shekh bhi munh ka mazaa badalne lage
   
Shaakhe dil par dekh kar chahat ki taza komplen
Aarzo'oon ke parinde chah'chahane aa gae
Tola he dushmanon ko bhi phoolon se dosto
Ham wo nahin jo rah men kante bichcha gae
   
Yeh pastiyan bhi hiqarat se dekhti hen hamen
Na jane kesi balandi se ham utar aae
Zindagi kya he samajhna he to un se miliye
Woh jo so jaate hen sarkon pe kisi chchat ke bagher
   
Yeh badguman fazaen yeh faasle kab tak
Kabhi wo baat kare mujh se mere ghar aaye
Ham ko un waliyon ki nisbat hasil he
Dasht ko jo gulzar banane wale hen
   
Jo charaghon ke saath jalte hen
Un ke chehron pe noor hota he
Naakhalaf ko bhi pyar karti he
Man, faqat man, khuda ki zaat ke baad
   
Rahmat ke dareechon se barasne lagen moti
Ehsaas nadamat ka jo aa jae bashar men
Jab kabhi haath gunahon ki taraf barhte hen
Rok leti he yeh eeman ki taqat ham ko
   
Yeh dor-e-taraqqi he magar, aaj bhi majboor
Roti ke liye apne badan bech rahe hen
Mujh se poochho us ka fezane karam
Men to qatra tha samandar ban gaya
   
Maan baap ne kyon us ki ghalat baat na maani
Bete ne isi baat pe ghar chhor diya he
Aap ke chehre pe mehtab ka dhoka he hamen
Aap de dijiye chhone ki ijazat ham ko
   
Dil ki yeh khahish he apne darmiyan koi na ho
Tum meri aankhon men aa betho jahan koi na ho
Duniya sitam sha'aar sahi bewafa sahi
Lekin khuda ki zaat bari meherbaan he
   
Haq pe ham jaan bhi dene ka hunar jaante hen
Too ne aiy gardish-e-doran hamen samjha kya he
Apna qusoor he ke jo bhatke hue hen ham
Warna hamara qafla saalaar ek he
   
Aiy taa'ir-e-be parwa be daari-o-aagaahi
Hen daam bhi posheeda bikhre hue daanon men
Kalee ko khilne se pehle hi noch leta he
Mere chaman ka nigehban bara siyaasi he
   
Umar jesa koi rehbar ata kar
Hamen phir aazmaaya ja raha he
Wohi aankhen jinhen ham jheel kaha karte thai
Regzaron si nazar aayeen murawwat ke bagher
   
Wo dekho doobte sooraj ka manzar
Yeh dekho mera saaya ja raha he
Baazar men le aaye hen mehlon se utha kar
Is dor ke fankar hen, fan bech rahe hen