Facebook icon Shayyar Majid Deobandi
 
1 2 3 4 5
   
Mujh ko darya salaam karte hen
Tashnagi ka ajeeb manzar hoon
Muskurate zakhmon se haal poochch lo mera
Aap ke sawalon ka men jawab kya doonga
   
Haadse us ka kya bigarenge
Jo tere hifz men, amaan men he
Kis ko fursat he kon sunta he
Apne haalat mukhtasar kehna
   
Waheen waheen bari insaniyat hui mehsoos
Jahan jahan bhi mile hem meri zaban ke log
Ham se qaatil bhi mil ke rota he
Is qadar be qusoor hen ham log
   
Berukhi chaahne wale se baja he lekin
Kya karoge jo yeh qadmon men machal jayega
Hosla bakhshengi jeene ka unheen ki nisbaten
Zindagi se jis ghari bezaar ho jayenge aap
   
Jahaan insaniyat dam torti ho
Mujhe un khanqahon se bachana
Faisla us ke saamne hoga
Ham nahin lete inteqam yahan
   
Bokhlayee phir rahi thi zindagi
Had yeh he shehre aman koi na tha
Sar katana jin ka nasbul ain tha
Sar jhukane ke liye tayyar hen
   
Bharak gaye to khuda jane kya natija ho
Adaawaton ke yeh shole na darmiyan rakhna
Us ke honton pe hansee ka aalam
Shaakh par phool khila ho jeisai
   

Dilon ka haal bas allah jane
Bazahir ham ibaadat kar rahe hen

Aiy ghareebi tera be'had shukriya
Apne begane ka andaaza hua
   
Dar-o-deewaar ka chehra hi nikhar aata he
Lot kar jab koi pardes se ghar aata he
Wohi gulaab khila tha jo waadi-e-dil men
Tamaam umr mahakta nafas nafas men raha
   
Phoolon ki jagah jalte hue lafz saje hen
Ab mez pe akhbaar hen guldan nahin he
Ham ahle haq hen hamesha kahenge jhoot ko jhoot
Na ham se hoga jo aali janab chaahte hen
   
Tum hadees-o-quraan men raahe khair ko dhoondo
Khatma ho chuka he baab ambiya ke aane ka
Ab na suniyega aap koi gila
Leejiye kaat li zabaan ham ne
   
Woh azeem shakhsiyyat ham ko yaad aati he
Zikr jab bhi hota he aasmaan pe jaane ka
Ghar lutta he lut jaaye yeh sar jaata he jaaye
Zaalim ki itaa'at hamen manzoor naheen he
   
Baiyat talab badalte rahe karbala ke saath
Apni jagah husain ka inkaar ek he
Apne rab se maang aur logon men us ko baant de
Is faqeeree men hi too sultaan hota jayega
   
Jaan maangoge jaan dedenge
Roz to imtihaan naheen hote
Baazar men le aaye hen mehlon se utha kar
Is dor ke fankar hen, fan bech rahe hen